WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

TANVEER - Topics
Create Your Own App Store

* TANVEER > Topics


Subject: Aansoo Shayari
Replies: 31 Views: 1720

tanveer6 25.12.12 - 12:18pm
Aansoo means Tears, So this
is another unhappy form of
Urdu poetry. Aansoo
shayari is loved by people
who are depressed and are
in tears. Aansoo shayari
is a popular topic in urdu
poetry.
*

tanveer6 31.01.13 - 12:28pm
Na aankh hai nam na chehre pay kurb ke aasaar,
Main is saleeqey se roya hoon aaj pehli baar..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:28pm
Bethe bethe hi ageya na janey kya kheyaal,
Pehron lipat kar roye dil-e-nadaan se hum..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:28pm
Tumhari aankh se behtey yeh ansoo,
Mujhe andar se sehraa kar rahe hain..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:28pm
Gham main aansu na behna barri baat hai,
Dil ka kaabu main rehna barri baat hai..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:29pm
Talkh itni thi ke peenay se zubaan jalti thi,
Zindagi aankh ke paani mein mila li mene..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:29pm
Mere haal pe yeh hairat kesi, dard ka tanha mausam main,
Pathar bhi ro parttey hain, insaan to phir insaan huaa..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:29pm
Main to uss waqat se darta hoon ke woh puch na ley,
Yeh agar zabt ka aansuu hai to tapkaa kaisey ??
*

tanveer6 31.01.13 - 12:29pm
Paaney se khoney ka mazaa aur hai,
Band aankhon se roney ka mazaa aur hai..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:29pm
Guzray lamhaat ki yaadon ne rulaaya us ko,
Chaand ko dekhne wo shakhs jo chhat par nikla..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:30pm
Kaha tha na usey mat zabt karna,
Woh aansuu ab samandar ho geya naa..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:30pm
Woh humain jab tak nazar aata raha taktey rahe,
Geeli aankhon, ukhrrey lafzon se duaa dete huye..

*

tanveer6 31.01.13 - 12:30pm
Awaaz main thehraao tha aankhon main nami thi,
Aur keh rahe they maine sab kuch bhulaa diya..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:30pm
Sabab roney ka woh poochain to itna kehna Qasid,
Mujhe hansna nahin ata jahan par tum nahin hote..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:30pm
Ghar ki taameer chahey jesi ho,
Uss main roney ki kuch jaghaa rakhna..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:31pm
Kitni besabar zaroorat thi ke us ke ghar ke log,
Bech aye hain shajjar kaat ke phall se pehle..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:31pm
Sach kahoon apni mohabbat pe nidaamat si hui,
Jab bhi dekhi teri utri hui surat meine.. *

tanveer6 31.01.13 - 12:31pm
Saif yeh din to qayamat ki tarah guzra hai,
Jane kya baat thi, har baat pe rona aaya.. *

tanveer6 31.01.13 - 12:32pm
am Khatey Hain, Kam Sotey Hain,
Bohat Zeyada Hum Rotey Hain
*

tanveer6 31.01.13 - 12:32pm
Zikr chairr dete hain jab gaye zamanon ka,
Woh bhi roney lagte hain, hum bhi roney lagte hain..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:32pm
Doobte chand pe royi hain hazaron aankhain,
Main to roya bhi nahi, tum ko hansi kyun aayi?
*

tanveer6 31.01.13 - 12:32pm
Sabab har aik mujh se poochta hai mere ronay ka,
Elaahi saari dunya ko mein kese raazdaan kar loon..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:32pm
Yeh shararat bhara lehjaa to meri aadat hai,
Tu har ik baat pe yun nam na kiya kar aankhain..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:33pm
Yeh kis maqaam pe le aaye hain tujhe halaat,
Ke teri aankh bhi purnam dikhayi deti hai..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:33pm
Jin ke honton pe tarb-khezz hansi hoti hai,
Woh bhi rote hain kitabon mein chupa kar chehre..
( *

tanveer6 31.01.13 - 12:33pm
Tumhe to zabt-e-mohabbat ka itna daava tha,
Yeh ashkk kese teri aankh se dhalak aaya..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:33pm
Kab Tak Raho Ge Aakhir Yoon Door Door Hum Say?
Milna Paray Ga Aakhir Ek Din Zaroor Hum Say..!
Daman Bichaane Walay Ye Be-Rukhi Hai Kesi?
Keh Do Ager Hua Hai Koi Qasoor Hum Say..!
Hum Cheen Lenge Tumse Ye Shan-e-Benayazi,
Tum Mangte Phiro Gay Apna Garoor Hum Say!!
*

tanveer6 31.01.13 - 12:33pm
Zara se jabr se main bhi to toot sakti thi,
Meri tarah se tabiat ka woh bhi sakht na tha.
*

tanveer6 31.01.13 - 12:34pm
Aik Ashk Ki Qeemat Ho Agar Aik Hi Paisa,
To Suno, Tum Lakhon Ke Maqrooz Ho Mery..!!
girlcrying.jpg *

tanveer6 31.01.13 - 12:35pm
Ajnabi logon mein ho tum aur itni door ho,
Aik uljhan si raha karti hai rozaana humain..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:35pm
Jis khof say milny nahi ata tha wo mujh say,
Iss dar say meri mout pay roya bhi nahi tha..
*

tanveer6 31.01.13 - 12:36pm
Aansuu bhi meri aankh ke ab khusshk ho gaye,
Tu ne mere khuloos ki keemat bhi cheen li..
aansuu.jpg *


* Reply
* TANVEER Forum


Search:
topics replies


* TANVEER

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store